Bank IFSC Code Kaise Nikale? (Bina Passbook ke 5 Second Mein)
Agar aapko kisi bhi bank account mein NEFT, RTGS ya IMPS se paise bhejne hain aur aapke paas passbook ya chequebook nahi hai, toh aap IFSCPin ki madad se kisi bhi bank branch ka sahi IFSC code aur MICR code bilkul free mein nikal sakte hain.
Abhi Apne Bank ka IFSC Code Check Karein:
🏦 Open IFSC & Bank Finder
🏦 Open IFSC & Bank Finder
Bina Passbook ke IFSC Code Nikaalne ke 4 Aasan Steps:
- Upar diye gaye button se IFSCPin tool kholein aur "🏛️ Find by Bank" tab par tap karein.
- Apne Bank ka naam chunein (jaise SBI, HDFC, ICICI, PNB, Axis ya Bank of Baroda).
- Apna State (Rajya) aur District (Jila) select karein.
- Apni Branch chunte hi aapke saamne IFSC Code, MICR Code, Full Address, UPI/NEFT status aur Google Maps location aa jayegi.
IFSC Code Kya Hota Hai?
IFSC ka poora naam Indian Financial System Code hai. Yeh 11 aksharon (characters) ka ek unique code hota hai jo RBI har bank branch ko deta hai:
- Pehle 4 akshar bank ka naam batate hain (jaise
SBIN= State Bank of India). - 5va akshar hamesha
0(zero) hota hai. - Aakhri 6 akshar ya number aapki exact bank branch ki pehchan hote hain.